Épisodes

  • Buddhiman Kazi
    May 18 2022

    Kashmir ke Badshah ka budhimaan kaazi ek hi tha jisne ek lakadhaare ko uski maut ki saaza se bachaya. Ziddi Badshah kisi ki sunta nahi tha aur sirf aadesh diya karta tha. Ek dopahar jab Badshah vichar vimarsh kar raha tha ki ek kauwe ki awaaz ne use pareshan kiya. Usne turant kauwe ko maut ke ghat utarne ke aadesh diya. Badshah ke kaazi ne use samjhaya ki ho sakta hain kauwa ko sandesh lekar aay ho aur isi ke chalte lakadhara phas jata hain. Jaaniye kaise Kaazi ne lakadhare ki jaan bachayi aur Badshah ko bhi khush rakha 

    Voir plus Voir moins
    5 min
  • Mahua Ka Ped
    May 18 2022

    Atithidevobhav ka sanskaar hum sab main bachpan se paya gaya hain. Mahua ke Ped ki kahani hain aise mukhiya ke baare main jo apne atithi seva ke liye hamesha charcha main rehte. Koi bhi atithi uske dwar se ati prasann ho apne ghar lauta karta. Mukhiya unhe wapas aane ka nimantran bhi dete. Dheere dheere Mukhiya aur uske bete ne jana ki kaise atithi ek hi phal kha kar pareshan ho rahe the. Mukhiya ka beta nikla sanjeevani ki khoj main jo unke atitihiyon ko khush kar, jhoomte huye wapas bheje. Suniye Mahua ka Ped aur janiye rehasya jhoomte atithiyon ka 

    Voir plus Voir moins
    6 min
  • Ghee Sad Gaya
    May 4 2022

    Hyderabad ke Nizam Meer Usman Ali Khan ki dariyadali aur kanjoosi ka saar hain ye Folk Tale. Shehar ke pragatisheel karyon ke liye mashoor Nizam chote chote kharchon par ghanto vichar karte the. Jab wo kahi jaate, tohfa lekar nahi jate lekin tohfa lekar wapas zaroor aate. Yun hi Datiya ke Maharaj se unhone datiya ke shudh ghee ke canister mangwaye jo mahino rakhe badboodar ban gaye. Aakhir kaise nijaad mila gaonwalo ko aur unke wazir ko is pareshani se, suniye Ghee Sad Gaya main 

    Voir plus Voir moins
    4 min
  • Chatori Bhanumati
    Apr 27 2022

    Patni ke jaane ke baad Ramling ne gharelu karyo ko liye Bhanumati ko rakha. Bhanumti gharelu thi lekin bahut hi chatori thi aur khane peene ki cheezein wo jhatpat khatam kar deti. Ramling ko jab tak ye samajh aaya tab tak thodi der ho chuki thi lekin phir whi usne Bhanumati ko chetawani di ki use apni chatori zubaan par niyantran rakhna padega. Lekin aisa hua nahi, aaiye sunte hain kaise Ramling ko kaise chutkara mila Bhanumati se 

    Voir plus Voir moins
    5 min
  • Kaun Hai Pati
    Apr 14 2022

    Arunachal Pradesh ki prajati Apatani ke mukhiya Donigarth ki putri Tamaang itni rupvati thi ki uska ujala rup dekh log usko surya devta ki putri kehte. Rup aur Gunno ke saath Tamaang ko nritya ka bhi shauk tha. Aise hi ek mele main use prem hua Abutani se aur dono ki Jodi bhi sundar thi lekin Abutani ek garib parrivar se tha. Devpurusho ki anumati, Tamaang ke pita ki teen shartein aur Abutaani ke beech Tamaang kya apne pyar ko pa payegi. Kaun hain pati folk tale main seekhe budhi ke prayog se sabhi samasyaon ka hal paya ja sakta hain 

    Voir plus Voir moins
    9 min
  • Naag Kanya
    Mar 31 2022

    Pyar ke saamne jap-tap sab pheeke pad jate hain. Folk Tales ke ye kahani hain Taraon aur Nagkanya ke prem ki jeet ki kahani. Ek ziddi manushya raja, ek naglok ka sarp raja, taraon ke machuare ka jaal aur nagkanya ki alokik shaktiyon ke beech aadharit hain ye kahani. Kabhi bhi kisi bhi paristithi main haar na maniye aur aage ki soch apna karm karte rahe, jeet nischit hain. Miliye Naagkanya se aur jaaniye phal saach ka saath dene ki. 

    Voir plus Voir moins
    6 min
  • Orchid Ke Phool
    Mar 24 2022

    Aap sabhi ne orchid ke phoolon ko dekha bhi hain, saraha bhi hain, lekin kya aapne kabhi ye socha ki ye phool kaise astitva main aaye. Folk Tales ke ye kahani aapko lekar jayegi Arunachal Pradesh, jaha ek khushhaal rajya main ek paropkari raja aur uska parivar aur sukh samriddhi main nivas karte the. Raja ki beti vivah-yogya jab huyi to kai gunvaan aur paripakav prastav uske liye aaye jinhe wo thukrati rahi. Aakhirkaar raha aur rani ne haar maan li aur unki beti unhi ke saath rahi. Rajukumari apna samay rajmhala main beetati jaha ek din wo behosh payi jaati hain. Samay chalte koi ilaaj kaam nahi aata aur Raja and Rani bhagwaan ke sharno main samay beetate hain. Aise main ek din, ek yuvak basuri liye kehta hain wo Rajkumari ko hosh main la sakta hain. Jaane aage hote hain aur kya hain Orchid ke phoolon ki kahani. 

    Voir plus Voir moins
    10 min
  • Tejimola
    Mar 17 2022

    Pita ka prem beti ke liye saare sansaar se badh kar hota hain, phir chahe koi kuch bhi kahe. Issi prem ki kahan hain Tejimola ki jisko uska pita, Basant apne prano se zyada pyar karta tha. Apne doosre vivah se wo khush to tha, lekin uski patni, Minti, Tejimola ko sagi maa ka pyar dene main asmarth rahi. Uski nafrat sirf yehi nahi ruki, usne purzor koshish ki Tejimola ko apne aur Basant ke Jeevan se dur karne ki. Kya uske napaak iraade beti-baap ko alag karne main kamyaab hop aye. Suniye kahani Tejimola ki, only on Folk Tales 

    Voir plus Voir moins
    7 min