Listen free for 30 days
-
Rusty Ki Ghar Wapsi [Rusty's Homecoming]
- Narrated by: Sundip Ved
- Length: 6 hrs and 22 mins
Failed to add items
Add to Cart failed.
Add to Wish List failed.
Remove from wish list failed.
Follow podcast failed
Unfollow podcast failed
Buy Now for $25.76
No default payment method selected.
We are sorry. We are not allowed to sell this product with the selected payment method
Publisher's Summary
Lambe arse se Ruskin Bond ki pustakon ka lokpriya paatr Rusty, apne kaarnaamon se paathakon ka mann lubhata, gudgudata aur hasaata aa raha hai. Rusty ne paathakon ke mann mein apna ek vivesh sthaan bana liya hai aur uske kisse-kahaniyon se paathak na thakta hai, na ubta hai.
London se lautane ke baad Rusty Dehradun, Delhi aur Shahganj mein kuch samay bitata hai aur aakhir mein Mussoorie ke pahadon mein bas jaata hai, jahan vah bataur lekhak apna jeevan jeevan shuru karta hai. Rusty fhir kabhi Mussoorie ke pahadon ko chodhkar kahin nahin jaata. Rusty ki kahaniyon ki shrinkhala mein yeh paanchvi aur aakhri kadi hai. Ismein paayeingay Rusty ke kayi doston-yaaron ke kisse, jismein uska khaas dost, Suresh bhi shaamil hai, Uncle Bill jo logon ko zehar dene ki nayi-nayi tarkeebein sochte rehte hain aur Jimmy naamak Djinn. Kuch ajeebo-gareeb kirdaar, kuch pyaar-mohabbat ke kisson se bhari Ruskin Bond ki yeh kitaab har umr ke paathakon ko raas aayegi.
Sahaj bhasha aur dil ko choo lene waale lekhak- yahi hain Ruskin Bond ki khasaiyat jiske kaaran vah itne lokpriya hain. ‘Sahitya Academy Puraskar’, “Padma Shri’ aur ‘Padma Bhushan’ se sammanit Ruskin Bond ki anya ullekhniya pustakein hain- Room on the Roof, Ve Awaara Din, Adventures of Rusty, Night Train at Deoli, Dilli ab Door nahin, Udaan, Panther’s Moon, Andhere mein ek Chehra, Ajab-Gajab meri Duniya, Mutthi Bhar Yaadein, Rasiya, Rusty aur Cheetah, Rusty jab bhaag gaya aur Rusty chala London ki aur.
Please note: This audiobook is in Hindi.