Hum sab ye to jante hi hai ki quran padhna kitna sawaab ka kaam hai, kitni nekiyaan milti hai. Or ho bhi kyu na. Allah ke apne alfaaz jo hai. Par kya humne kabhi ruk kar ye socha hai ki quran ko samajhkr padhne ki bhi zaroorat hai? Kya quran ki tafseer samajhne ki koshish kri hai? Kya kabhi ye socha ki jo hum padh rahe hai iska matlab kya hai? Ye Allah ke apne alfaaz hain or in alfaaz ke zariye allah ne nabi-e-paak ke ummat ko aman or allah ke raah pr chalna sikhaya hai. Pur hum me se kaafi log bachpan se quran ki Arabic language sirf lisliye seekh lete hai taaki usko padh saken. Agar thoda uski tafseer bhi padhein to smajh aye ki quran dil ko khol deta hai. Isliye Hubhopper apke liye lekr aya hai ek asa podcast jo quran ki tafseer samjhane me madad karega. To aiye hum sab milkar Dr. Israr Ahmed ke zariye ki gayi quran ki tafseer ko sunein or allah ki raah par chalne ka wada karein