Épisodes

  • Episode 01: Shri Vishnu ko shraap
    Oct 14 2021

    Kya aap ko bhi hairani hoti hai ye sochkar ki bhagwan Vishnu ne jab jab bhi is dharti ko bachane ke liye awtar liya unki prem kahani me hamesha dukh aur judai hi rahi? chahe shri Ram hon ya Shri Krishna, apni patni aur premika ke bina hi dharti par jeewan bitana pada. Iske peeche ek shrap hai jo unhe ek toote huye dil ke premi ne diya tha, Is episode me ham usi shrap ke bare me vistar se janenge

    Voir plus Voir moins
    19 min
  • Episode 02: Yam ko Shrap
    Oct 14 2021
    Ham sab jante hain ki hamare saare achche bure karm nyay ke devta yamraj jinhe dharmraj bhi kahte hain unke bahi khate me darz hote hain aur ant me har baat ka hisab ho jaata hai lekin agar nyay ke devta se hi anyay ho jaay tab uski sunwai kahan hogi? Is episode me ham sunenge ki kaise dharmraj tak ko apne kiye anyay ke liye shrap jhelna pada tha
    Voir plus Voir moins
    15 min
  • Episode 03: Kach ko shraap
    Oct 14 2021
    Kahte hain ki vidya chahe kaisi bhi ho use pane ke liye pahle man saf hona chahiye, kisi ke sath chal karke agar aap kuch seekh bhi gaye tab bhi aap us vidya me maharat hasil nahi kar sakte, aisa hi kuch hua tha jab devtaon ke guru Brahsapti ke putra kach ne apne guru se chal karke unse ek nayab vidya seekhi lekin iske parinam me unke sath vo hua jiski unhone kalpana bhi nahi ki thi. Is episode me aaiye jaante hain ki kach ko kisne aur kya shrap diya tha
    Voir plus Voir moins
    15 min
  • Episode 04: Parikshit ko shraap
    Oct 14 2021
    Kya aap janna chahte hain ki kalyug kaise shuru hua aur iske peeche kiska jaldbazi me diya hua shraap tha? Is episode me ham in dono sawalon ke javab to janenge hi sath hi janenge ki jab hamare pas koi bahut badi vidya ho tab hame aur bhi jyada soch samajhkar uska istemal karna chahiye warna kai bar ham apne sath poori duniya ka bura bhi kar baithte hain
    Voir plus Voir moins
    17 min
  • Episode 05: Kalmashpaad ko shraap
    Oct 14 2021
    Kahte hain ki jab anhoni hone ko hoti hai tab ek choti si cheenti bhi vishal hathi ko mar daalti hai. Insan ka ego yani aham yahi cheenti hai jo dubone par aaye to bade bade rajwanshon ko bhi dubo deti hai. Is episode me ham janenge ki kaise do logon ke ego ki wajah se raghuwansh ki bedag keerti pataka par ek dag lag gaya aur dag chahe chota ho ya bada, dag hi hota hai.
    Voir plus Voir moins
    15 min
  • Episode 06: Ravan ko shraap
    Oct 14 2021
    Kahawat hai ki durbal ko na sataiye kyonki jab aap bina karan kisi ko satate hain tab unki aah me vo asar hota hai ki paththar bhi mitti ho jaate hain. Is episode me ham sunenge ki kaise ek ahankari asur ko apne kiye inhi atyacharon ke karan ek din apni sari akad chodkar marna pada tha.
    Voir plus Voir moins
    15 min
  • Episode 07: Agnidev ko shrap
    Oct 14 2021
    Sabse bada apradh kya hai? Tab sach na bolna jab aapke sach kahne se kisi ke jeewan se koi bada sankat tal sakta hai. Us waqt yadi aap jhooth bolte hain ya chup rahte hain tab aap but bada paap karte hain. Is episode me ham sunenge ek aise shrap ki katha jo kisi ko isliye mila tha kyonki usne samay par sach nahi bola tha aur fir dand jhela tha.
    Voir plus Voir moins
    15 min
  • Episode 08: Arjun ko shraap
    Oct 14 2021
    Hamare liye sabse jaruri kya hai? Jis cheej ke liye ham itni mehnat karte hain? Ye hai hamari pahchan, hamari identity. Lekin apni pahchan par agar jarurat se jyada garv hone lage aur ham doosron ko apne aage kam samjhne lagen tab yahi pahchan hamara gurur ban jaati hai aur gurur insan ko ghun ki tarah kha jata hai. Is episode me ham janenge ki kaise Arjun ko apne isi gurur ki wajah se apni salon ki mehnat se kamai hui pahchan khoni padi aur sharap ka dand jhelna pada.
    Voir plus Voir moins
    15 min